Thursday 24 May 2012

Tu hi tu

Tere chehre me ek ajib si kashish hai.

Tere chalne me ek ajib si leher hai.

Khilna lagta hai tera dekhna mujhe.

Saawan ka barasna lagta hai tera muskurana mujhe.

Tu jo do lafz keh de to din sawar jaaye.

Tu jo pyaar se sehla de to jindadi vari jaaye.

Tere khayal se hi meri banjar jindagi barasne lagti hai.

Teri aakhon me dekhte hi meri ankhiya sapne bunne lagti hai.

Tum na samjh paaye

Meri bechainiyo ko tum na samajh paaye.

Meri nadaniyo ko tum na maaf kar paaye.

Zameen thi mai magar tum falak na ban paaye.

Dariya thi mai tum sahil na ban paaye.

Tumhe dekh muskurati rahi magar tum meri muskaan na ban paaye.

Mere dard ko tum mehesus na kar paaye.

Meri masumiyat ko tum na pehechan paaye.

Dhundti rahi chahat magar tum kabhi pyaar na kar paaye.

Wednesday 16 May 2012

Tum jo aaye zindagi me

Tum aaye mujhe sharam si aa gayi.

Sine me ek baichaini si chaa gayi.

Saase ye tumhari meri saaso ko meheka gayi.

Khushboo se tumhari madhoshi si chaa gayi.

Meri angdai me ek khumari si aa gayi.

Meri zulfo ki ghata si lehera gayi.


Kitne majboor hai hum?

Kitne majboor hai hum?

Tumse ye bhi nahi keh sakteki tumhari yaad aati hai.

Aakhen meri ashko se raat sajati hai.

Baahe meri sooni hi reh jati hai.

Tanhaiya meri mujhe roz satati hai.

Kaise samjhau is dil ko, ise sirf tumhari hi tasveer najar aati hai.

Thursday 3 May 2012

Most confused People of my life

Rakesh Shetty (anna)


Baldev Singh ( Bhai saa)

Tejaswita Deshmush ( teju)


Mamta Amin ( mumu darling)


 Kriti Khandelwal ( Kitti)
 
Yogesh Daga ( bhai)
Neelam Rajput ( most confused creature)   
My confused group ( abhilasha, usha, mamta, amrita, krushna)
Mamta & Neelam
Lord Krishna ( kanha)

Tuesday 1 May 2012

Kyu aisa nahi ho sakta?

Girl to Boy ( silently in her thoughts after rejection by boy)


Jab mai tumhe apni saari zindagi apni najro k samne dekh sakti hu to tum kyu nahi?

Jab bhi tumse dur hone lagti hu to aisa lagta hai ki kyu mai is waqt rok nahi sakti?

Kyu aisa nahi ho sakta ki mai saari zindagi bas tumhe niharti rahu?

Saari zindagi tumhari hasi dekh muskurati rahu?

Kyu aisa nahi ho sakta ki saari zindagi tumhari baho ki garmi ko mehesus karti rahu?

Kyu aisa nahi ho sakta ki saari zindagi tumhare hoton ki nami ko chhu saku?

Kyu aisa nahi ho sakta ki saari zindagi tumhare dil ki dhadkano ko sun saku?