Wednesday 28 March 2012

Maafi :(

Khata hui mujhse jo maine tum par shaq kiya.


Anjana sa iljaam jo maine tum par jahir kiya.


Maaf karna mujhe jo maine tumhe gunahgaar kiya.


Sharminda hu mai jo maine tumhe ruswa kiya.


Dil roya mera jo maine tum par yakeen na kiya.


Ashko se bhara daaman mera jo maine tumse gila kiya.


Kho na jana mujhse jo maine tumse shikwa kiya.

Wednesday 21 March 2012

Jo hona tha ho hi gaya

Jo hona tha aakhir ho hi gaya,
Jise chaha tha aakhir mil hi gaya.

Nikli thi andhero mein,
Jugnu mil hi gaya.

Kaato mein ki talaash khushboo ki, ( Great line of Javed Akhtar Sahab )
Gulab khil hi gaya.

Kahaani suni thi pariyo ki,
Farishta mil hi gaya.

Jo hona tha aakhir ho hi gaya,
Jise chaha tha aakhir mil hi gaya.

Khwaish thi sitaaro ki,
Chanda mil hi gaya.

Chahat thi barisho ki,
Badal mil hi gaya.

Dhoondha tha najro se,
Aks mil hi gaya.

Jo hona tha aakhir ho hi gaya,
Jise chaha tha aakhir mil hi gaya.

Bhram tha mera jo aakhir khul hi gaya.
Sapna tha mera jo aakhir tut hi gaya.

Chadhta hua suraj aakhir dub hi gaya,
Suhana tha jo manjar aakhir dhundhla ho  hi gaya.

Jo hona tha aakhir ho hi gaya,
Jise chaha tha aakhir kho hi gaya.

Thursday 15 March 2012

Dream which will never ever come true!


Dream which will never ever come true!

A girl named “Naina” loved a guy “ Aadarsh.” Naina, Aadarsh and Bhim were batch mates in school and graduation college. Naina considered Bhim as his brother. One day she got a dream about “ Aadarsh and his best friend “Bhim”.  The story narration is from Naina’s point of view, the dream here it goes… 

Mai, Bhim, Aadarsh aur do ladko ( naam nahi pata, kuch alag se the wo) k sath job k silsile me Gujhrat jaate hai ek business tour pe, humare boss ne hume bhejha hota hai. Socho mai akeli ladki aur char ladke!
Ek hi baat achi thi k aadarsh tha sath me, kya fayada itne time k baad bhi ek hi organization me job karte hue bhi aaj tak usne mujhse baahi ki, almost 7yrs. Ek aur baat achi ye thi ki meri health sudhar gayi thi magar mera look waisa hi tha, maine kurti aur jeans daali thi, aur specs moti frame wale & pony tail.
Hum sabhi ko black coloured bag diya tha company ne with its logo. Saare boys wakai me best  employees the aur mai to mai hu. Mujhe literally mere gaon ki galiya dikh rahi thi. Mujhse koi bhi mere collegue baat to kar nahi rahe the to mai aage aage chal rahi thi and boys piche masti karte hue aur baate karte hue aa rahe the. Actually hum sab kahi jaa rahe the, fir Bhim aur baki do boys kahi aur jaane lage kehne lage “yaha ka kaam niptakar aate hai,” magar Aadarsh ne kaha “ yaar mujhe kantaal maar raha hai pls tum log solve kar k aa jao,” to baki sab agree hote hai. Mai sochti hu yahi kahi wait karna padega ye logo ka, magar mann me to itna gussa aa rha tha kyu ki aadarsh ruka hua kyu hai? Aaj bhi mai use bohot pyaar karti hu aur aaj bhi mai uska wait kar rahi hu, aur aaj tak usne shaadi nahi ki jiski wajah se maine bhi nahi ki kyu ki apne aap se promise jo kiya tha ki shaadi k baad hi mai shaadi karungi. But sab waisa ka waisa hi hai jaisa 7 yrs pehle tha, aaj bhi wahi avoidance uska. Kya kare, wo to apne cell me laga rehta hai mai to fir kahi stairs pe jakar baithti hu, dil to mera bohot jal raha hota hai. Waha humare gujrath lok sangeet aur nrutya ki practice ho rahi hoti hai to mai baith k wo dekhti, thodasa mind fresh hota hai. Aadarsh se to mera dhyaan hi hat jata hai. Fir thodi der baad aadarsh aata hai cahl chal k aur jor se bolta hai “ oh berozgaar!” Mai use dekhti hu to wo smile karta hai, fir kehta hai, “ ha tujhe hi bol raha hu, aise kya baithi hai, salary waigara nahi milti kya?”
I was totally shocked ki mai ye kya sun rahi hu Aadarsh mujhse baat kar raha hai!!! Mai thodisi embarrassed ho jati hu, aur khadi hoti hu to wo mere pas aata hai aur mujhe zor se hug kar k utha leta hai. Mai thodi der k liye mand ho jati hu ki ye kya hua? Ab bhi mai usi ki baho me hu aur jaise najaro me hi baate ho rahi ho maine kaha “ I still love you!” aur usne kaha “ I love you too.” Aisa laga jaise ye gana baj raha ho “ jo baat dil mein thi naino ne bol di……” fir wo mujhe niche rakhta hai and I was like…….. bas maine to use hug hi kar liya, barso purani muraad jo puri ho gayi thi.
Aadarsh ne bhi mujhe bohot laad kiya. Aur hum ek dusre ka haath pakad kar chalne lage. Pata tha ki Bhim aur baki jano ko time lagne wala hai to hum dono gaon ki seir par chal diye. Bohot enjoy kiya humne. Fir hum mandir jaate hai, darshan karne k baad wo kahi chala gaya kuch kaam se, shayad Bhim bulata hai phone kar k. Mai bahar aati hu to aadarsh mujhe milta hai aur tab tak Bhim bhi aa jata hai magar ek Punjabi kudi k avtar mein. Use dekhkar shock nahi hota kyu ki wo bohot hi sweet aur beautiful dikhta hai. Mujhe aur Aadarsh k baat karta dekh wo thoda shock ho jata hai. Fir Aadarsh mujhe bye kar k Bhim k sath jata hai aur kehta hai “ yahi rehna mai aata hu thodi der mein.” Mandir k pas hi mujhe meri k pehechan ki aunty milti hai to mai unse baat karne lagti hu. Thoda bohot timepass ho jata hai, wo sabji kharid rahi hoti hai, tab Aadarsh aata hai ek bawarji k avtar mein to mujhe bohot hasi aati hai but mai hasti nahi. Fir wo jata hai tab mai use ishaare mein kehti hu “ shoes tere!” to use yaad aata hai aur fir mandir k yaha aakar uske shoes daal kar jaane lagta hai ki Bhim aata hai fir mai zor se kehti hu “ Aadarsh you are looking hadsome!” to mujhe smile dekar wave kar k jata hai. Bhim ko badi jalan hoti haito kehta hai “ haaaaaaa……………. Handsome!” Chidte hue aur chidhate hue. To mai to uska popat hi kar deti hu aur bolti hu “ ae chal jana tujhe handsome nahi bola” to  rasgulle ki tarah muh fulakar chala jata hai aur tab bhi mai use apna bada bhai maanti hu yani Dada hi maanti hu.

But in reality, Bhim insulted Naina like anything, Aadarsh married to some other girl and Naina left the place where these memories were built.

Thursday 8 March 2012

Its really hard to fake!



Concept:
by Neelam Rajput
a girl is deeply in love wid her classmate , bt she is shy to confess it to him. Day by day her love for him goes stronger n stronger which gives her strength to confess her love to him . The boy doest not accept her love but in fact he tells her to control her feelings . The girl accepts his words an acts upon it , from out side she is happy bt form inside she is dieing day by day.
THE BELOW SONG IS EXACTLY WHAT THE GIRL IS FEELING NOW.....
To be continued...........



Ummm hmm umm hmm
Ummm hmm umm hmm

Tune jo na kaha
Mein woh sunta raha
Khamakha bewajah Khwaab Bunta raha


Tune jo na kaha
Mein woh sunta raha
Khamakha Bewajah Khwaab Bunta raha

Jaane kiski humein lag gayi hai nazar
Is Shehar mein Na apna tikana raha
Koi chaht se na ab apni chalta raha

Khamakha bewajah Khwaab Bunta raha
LyricSMasti.com
Dard phele se hai jyaaada
Khud se phir yeh vaada
Khamosh Nazrein Rahein Bezubaan


Abb Na pehli si baatein hai
Bolo to Lab thartharatein hai
Raaz yeh dil ka na ho baiyan
Hoga na ab asar humpe nahin
Hum safar mein to hai Humsafar hai nahi

Door jaata raha Paas aata raha
Khamakha bewajah Khwaab Bunta raha

Aaya woh phir Nazar aise
Baat chidne lagi phir se
Aankhon mein chubhta kal ka dhuan

Haal tera na humsa hai
Is khushi mein kyon gumsa hai
Basne laga kyon phir woh jahan
Lyricsmasti.com
Woh jahan dur jis se gaye the nikal
Phir se aankhon mein karti hai jaise pehal

Lambha beeta hua ,Dil Dukhata raha

Khamakha bewajah Khwaab Bunta raha

Tune jo na kaha
Mein woh sunta raha
Khamakha bewajah Khwaab Bunta raha


Jaane kiski humein lag gayi hai nazar
Is Shehar mein Na apna tikana raha
Koi chahat se abb apni chalta raha

Bhuj gai Aag thi Daag Jalta raha...

Thursday 1 March 2012

I am nothing without you

Dhadakta nahi dil tumhare bina,
Tum dhadkane jo le gaye.

Jeena bhul gaye tumhare bina,
Tum dil jo le gaye.

Khwab na aaye tumhare bina,
Tum neende jo le gaye.

Hasna bhul gaye tumhare bina,
Tum hotho ki nami jo le gaye.

Jeena bhul gaye tumhare bina,
Tum chain jo le gaye.

Sab kuch soona laage tumhare bina,
Tum zindagi jo le gaye.