Saturday 22 December 2012

Kya Kijiye!


Aap jo muskuraye to kya kijiye,
Mera dil theher jaye to kya kijiye.

Hoto ki laali udd jaye to kya kijiye,
Gaalo pe wo phir aa jaye to kya kijiye.

Teri najaro ke teer chal jaye to kya kijiye,
Mera dil chhalni ho jaye to kya kijiye.

Mera dupatta jo udd jaye to kya kijiye,
Tere hatho me wo ruk jaye to kya kijiye.

Thursday 8 November 2012

Aadhoore Hum

Tumhari Khsuhboo hi humari trishna ko pura karti hai,
Fir bhi kyu hum khud ko aadhoora mehesus karte hai?

Tumhari saase har waqt is badan ko chhuti hai,
Fir bhi kyu khud ko akela paate hai?

Tumhari aahaton se humari dhadkane tezz hoti hai,
Palat kar dekhen to nishaan bhi nahi paate!

Kyu aisa ehsaas hota hai?
Jab hum tumhare aur tum humare nahi hai.

Kisi aur ki bahon me tumhari bahen hai,
Fir bhi tumse nafrat nahi kar paate.

Sunday 16 September 2012

A Tribute to Salman Khan


This is an exclusive video made by me, its my tribute to Salman Khan for giving his remarkable contribution to Bollywood.

Sunday 9 September 2012

You are mine

Aap to dost the

kab ban gaye zindagi!


Kyu itne pyaare ho 

ki aapko dena chahe sirf khushi hi khushi.


Jina sikhaya tumne,

pyaar karna sikhaya tumne,

aur nibhana bhi.


Aap hi dua ho,

aur aap hi dawa bhi.


Jee na sakenge aap ke bina,

na jana humse dur.


Aisi kya kashish aap me,

jisne kar diya hai hume majboor.

Friday 7 September 2012

Will you be there for me!

Tanhaiyo me hamesha saath doge na!

Darr jau kabhi to sine se lagaoge na!

Ladkhadau kabhi to haath thamoge na!

Ruth jau kabhi to manaoge na!

Behek Jau kabhi to sambhal loge na!

Dur chali jau kabhi to yaad aaoge na!

Kho jau kabhi to paa loge na!

Galti karu kabhi to maaf kar doge na!

Pyaar karti hu tumse, tum bhi ikraar karoge na!

Sunday 2 September 2012

Its never ending

Aaj fir aasman me udne ko jee chahta hai,

Teri iss deewangi me jhumne ko jee chahta hai,

Ye jaanti hu ki tu mera nahi, fir bhi tujhe chahne ko jee chahta hai,

Kyu hai aisi kashish tujh me, jo tere kareeb aane ko jee chahta hai,

Mera naseeb mera nahi fir bhi tujhe paane ko jee chahta hai,

Kaash yu ho ki tera dil kahe, aaj tujhe chahne ko jee chahta hai.

Friday 31 August 2012

Geet gaata chal o sathi gungunata chal...

Bollywood's Golden era:


Bollywood has been a showcase to some exhilarating talent and outstanding skills. The Hindi film industry traces its advent way back in 1950's which is also termed as the golden era of bollywood. The likes of bollywood actresss like Nargis, Madhubala, Nutan and others spelled the audience with their beauty and charms. They actually defined the Indian 'naari' in bollywood. On the other side, actors like Kishore Kumar, Dev Anand, Raj Kapoor and others graced the silver screen with their ever lasting memories. These masters of acting and portraits of every possible human emotion have taken Hindi cinema to its peak and laid a firm foundation for what we now refer as Bollywood.
 
And its evergreen songs:

1. Aapki nazron ne samja pyaar ke kaabil mujhe
2. Naam gum jaayegaa chehra ye badal jaayega
3. Piya tose naina laage re
4. Ajeeb dasta hai ye
5. Kora kaagaz tha ye man mera
6. Chhukkar mere man ko kiya tu ne kya ishaara
7. Saagar kinaare dil ye pukaare
8. Jab deep jale aana
9. Kitna pyaara waada ye matwali ankhon ka
10. Raina beet jaaye shaam na aaye
11. Musafir hoom yaaro 
12. Ye shaam mastani
13. Mere sapno ki rani kab aayegi tu
14. Jai jai shiv shankar
15. Kora kagaz tha yeh man mera  16. Roop tera mastana
17. Achha to hum chalte hain
18. Meri pyari behaniya
19. Yahan wahan sare jahan
20. Yeh jo mohabbat hai
21. Yeh shaam mastani
22. Pyaar deewana hota hai
23. Kahin door jab din dhal jaaye
24. Zindagi kaisi hai paheli
25. Chingari koi bhadke
26. Kuch to log kahenge
27. O mere dil ke chain
28. Diye jalte hain
29. Mere dil mein aaj kya hai
30. Karvate badalte rahe
31. Gore rang pe na itna
32. Zindagi ke safar mein

33. Humein tum se pyaar kitna
34. Agar tum na hote
35. Shayad meri shaadi
36. Zindagi pyar ka geet And many more...

 New Era:

The 21st century brought immense popularity to the Bollywood, so much so that its films appeal the audience of all segments. Owing to aperture of the abroad market, more movies are released abroad and in cine-multiplexes that cause wider box office successes in India and overseas. 

And the songs which are going to be evergreen 30-40 years from now:
1. Pehli Nazar Mein
2. Tum Se Hi
3. Aisa Des Hai Mera
4. Aao Milo Chalein
5. Kal Ho Na Ho
6. Kaho Na Pyaar Hai
7. Humko Humise Churalo
8. Hum tum ...
9. Tere liye.. humne jiye 
10.Jiya dhadak dhadak jaye
11.Nagme hain shikve hai kisse hain 
12.Naina thug lenge
13. Aao na
14. Pani da rang
15. Rabba main toh marr gaya oye
16. Saadda haq
17. Khuda jaane k main fida hu
18. Saiyyara
19. Phir mohabbat
20. Ishaqzaade
21. Main Pareshaan
22. Tujhe bhula diya
23. Tu hi haqeekat
24. Shila ki Jawaani
25. Munni Badnaam
26. panchhi nadiya
27. Ik pal ka jeena
29. Gali mein aaj chaand nikla
30. Are re are ye kya hua
31. Mehendi laga k rakhna
32. Mere khwabo mein jo aaye
33. Pehla pehla pyaar hai
34. Ik taara
35. Yeh haseen vadiya
36. Tu shayar hai
37. Zara Zara
38. Ye dooriyan
39. Aaoge jab tum
40. Tujhe dekha to ye jana sanam
41. Tu jaane na

And finally Geet gaata chal o saathi gungunata chal...
     

Thursday 24 May 2012

Tu hi tu

Tere chehre me ek ajib si kashish hai.

Tere chalne me ek ajib si leher hai.

Khilna lagta hai tera dekhna mujhe.

Saawan ka barasna lagta hai tera muskurana mujhe.

Tu jo do lafz keh de to din sawar jaaye.

Tu jo pyaar se sehla de to jindadi vari jaaye.

Tere khayal se hi meri banjar jindagi barasne lagti hai.

Teri aakhon me dekhte hi meri ankhiya sapne bunne lagti hai.

Tum na samjh paaye

Meri bechainiyo ko tum na samajh paaye.

Meri nadaniyo ko tum na maaf kar paaye.

Zameen thi mai magar tum falak na ban paaye.

Dariya thi mai tum sahil na ban paaye.

Tumhe dekh muskurati rahi magar tum meri muskaan na ban paaye.

Mere dard ko tum mehesus na kar paaye.

Meri masumiyat ko tum na pehechan paaye.

Dhundti rahi chahat magar tum kabhi pyaar na kar paaye.

Wednesday 16 May 2012

Tum jo aaye zindagi me

Tum aaye mujhe sharam si aa gayi.

Sine me ek baichaini si chaa gayi.

Saase ye tumhari meri saaso ko meheka gayi.

Khushboo se tumhari madhoshi si chaa gayi.

Meri angdai me ek khumari si aa gayi.

Meri zulfo ki ghata si lehera gayi.


Kitne majboor hai hum?

Kitne majboor hai hum?

Tumse ye bhi nahi keh sakteki tumhari yaad aati hai.

Aakhen meri ashko se raat sajati hai.

Baahe meri sooni hi reh jati hai.

Tanhaiya meri mujhe roz satati hai.

Kaise samjhau is dil ko, ise sirf tumhari hi tasveer najar aati hai.

Thursday 3 May 2012

Most confused People of my life

Rakesh Shetty (anna)


Baldev Singh ( Bhai saa)

Tejaswita Deshmush ( teju)


Mamta Amin ( mumu darling)


 Kriti Khandelwal ( Kitti)
 
Yogesh Daga ( bhai)
Neelam Rajput ( most confused creature)   
My confused group ( abhilasha, usha, mamta, amrita, krushna)
Mamta & Neelam
Lord Krishna ( kanha)

Tuesday 1 May 2012

Kyu aisa nahi ho sakta?

Girl to Boy ( silently in her thoughts after rejection by boy)


Jab mai tumhe apni saari zindagi apni najro k samne dekh sakti hu to tum kyu nahi?

Jab bhi tumse dur hone lagti hu to aisa lagta hai ki kyu mai is waqt rok nahi sakti?

Kyu aisa nahi ho sakta ki mai saari zindagi bas tumhe niharti rahu?

Saari zindagi tumhari hasi dekh muskurati rahu?

Kyu aisa nahi ho sakta ki saari zindagi tumhari baho ki garmi ko mehesus karti rahu?

Kyu aisa nahi ho sakta ki saari zindagi tumhare hoton ki nami ko chhu saku?

Kyu aisa nahi ho sakta ki saari zindagi tumhare dil ki dhadkano ko sun saku?

Sunday 29 April 2012

UR the only reason

Jab bhi mai dekhu tumhe
Tumse phir pyar ho jata hai.

Tanha sa dil bekarar ho jata hai.
Ajeeb sa ehsas gudgudata hai.

Mai na jaanu ye kya hai
Moh hai kuch aur hai.

Tumse hi mere chehre hi ki khushi hai,
Tumhi se meri zindagi ki dor hai.

Har bar jab mai dekhu tumhe
Utsaah ki tarang uthti hai.

Tumse hi pyar pe yakeen hai,
Tumse hi pyar pe aitbaar hai.

Tumhara chehra hi meri khushiyo ki chaabi hai,
Tumhari hasi hi meri muskaan hai.


Saturday 28 April 2012

The Darkness

Days passes by somehow...

but nights are now wagon of pain,

injuries may heal with time,

but marks will always remain,

restless on my comfortable bed,

I toss & turn & tried to sleep,

but thoughts are bulking my head,

and have formed a huge heap,

the past is flashing & scorching light beams,

tearing me apart, breaking me at the seems,

the darkness of my life is more visible in the dark,

and now I'am giving it a word, trying to speak my heart.

THIS IS WRITTEN BY MY DEAR AND SISTER LIKE FRIEND - Kriti Khandelwal

Friday 27 April 2012

Maa to Maa hoti hai


Maa to maa hoti hai!
She is neither my mother nor my grandmother; she is my best friend mamta’s mother. I saw another face of my mother. Am so lucky to have two mothers, no one would be that fortunate as I am. I don’t feel like stranger at my friend’s home. She’s the only woman in this world on whom I can rely on after my mom.
As I said am talking about my best friend’s mom.  My friend is basically from Karnataka and speaks Tulu language. This is the funniest language I have ever heard. My friend says me this is most difficult language in south India, but I didn’t found it so difficult. I can understand what they speak and even I can speak few of words like if I have to say to someone ‘how are you?’ then ‘eenche ulle?’ and for that reply would be ‘yaan sauke ulle.’ It means ‘m fine.’  
I and my friend became friends since when I was in eight standard. But I came more close to her when we entered our graduation. On the day of our admission I met to her mom, it’s not like that I didn’t met her before but this was the turning point of my life. I did not know what god was going to gift me.
 I had experienced two kinds of food made by my two mothers, north Indian and south Indian, waste difference but tastes yummy. As a north Indian I was not habituate south Indian food, but taste of hand of my this mom made me to eat it. Now south Indian food is my favorite foods. My favourite dish is ‘Neer dosa’.
She also scolds me whenever I do anything wrong. She is so friendly with me, even she teases me like my friends teases me, And I get so shy my face turns red when a mom like lady teases.
When I shifted to new college and home she was saying me ‘will miss you, how will my daughter live without you, you both are like sisters never separated from each other.’ She also was saying ‘stay here only beta, you both study here only, my daughter will get alone without you.’
Even now also whenever I visit her, she is always glad to welcome me and says ‘beta why did you go? We miss you so much; you are like our family member.’
I don’t visit any friend or my relatives but I make sure that before leaving I’ll meet my best friend and her mom at least once.
I don’t like to drink tea, but she always forces me to have it and now I got habit of it.  She also serves me food forcefully my mom also don’t force that much, but I like everything whatever she does, she is very frank and fun loving person. I just love her.
I have another heaven in her arms.

(ADOPTED)
A MOTHER IS THE TRUEIST FRIEND WE HAVE,
WHEN TRIALS, HEAVY & SUDDEN, FALL UPON US;
WHEN ADVERSITY TAKES THE PLACE OF PROSPERITY;
WHEN FRIENDS WHO REJOICE WITH US IN OUR SUNSHINE;
DESERTS US WHEN TROUBLES THICKEN AROUND US;
STILL SHE WILL CLING TO US;
AND ENDEAVOR BY HER KIND PERCEPTS & COUNSELS TO
DISSIPATE THE CLOUD OF DARKNESS;
AND CAUSE PEACE TO RETURN TO OUR HEARTS.


Wednesday 28 March 2012

Maafi :(

Khata hui mujhse jo maine tum par shaq kiya.


Anjana sa iljaam jo maine tum par jahir kiya.


Maaf karna mujhe jo maine tumhe gunahgaar kiya.


Sharminda hu mai jo maine tumhe ruswa kiya.


Dil roya mera jo maine tum par yakeen na kiya.


Ashko se bhara daaman mera jo maine tumse gila kiya.


Kho na jana mujhse jo maine tumse shikwa kiya.

Wednesday 21 March 2012

Jo hona tha ho hi gaya

Jo hona tha aakhir ho hi gaya,
Jise chaha tha aakhir mil hi gaya.

Nikli thi andhero mein,
Jugnu mil hi gaya.

Kaato mein ki talaash khushboo ki, ( Great line of Javed Akhtar Sahab )
Gulab khil hi gaya.

Kahaani suni thi pariyo ki,
Farishta mil hi gaya.

Jo hona tha aakhir ho hi gaya,
Jise chaha tha aakhir mil hi gaya.

Khwaish thi sitaaro ki,
Chanda mil hi gaya.

Chahat thi barisho ki,
Badal mil hi gaya.

Dhoondha tha najro se,
Aks mil hi gaya.

Jo hona tha aakhir ho hi gaya,
Jise chaha tha aakhir mil hi gaya.

Bhram tha mera jo aakhir khul hi gaya.
Sapna tha mera jo aakhir tut hi gaya.

Chadhta hua suraj aakhir dub hi gaya,
Suhana tha jo manjar aakhir dhundhla ho  hi gaya.

Jo hona tha aakhir ho hi gaya,
Jise chaha tha aakhir kho hi gaya.

Thursday 15 March 2012

Dream which will never ever come true!


Dream which will never ever come true!

A girl named “Naina” loved a guy “ Aadarsh.” Naina, Aadarsh and Bhim were batch mates in school and graduation college. Naina considered Bhim as his brother. One day she got a dream about “ Aadarsh and his best friend “Bhim”.  The story narration is from Naina’s point of view, the dream here it goes… 

Mai, Bhim, Aadarsh aur do ladko ( naam nahi pata, kuch alag se the wo) k sath job k silsile me Gujhrat jaate hai ek business tour pe, humare boss ne hume bhejha hota hai. Socho mai akeli ladki aur char ladke!
Ek hi baat achi thi k aadarsh tha sath me, kya fayada itne time k baad bhi ek hi organization me job karte hue bhi aaj tak usne mujhse baahi ki, almost 7yrs. Ek aur baat achi ye thi ki meri health sudhar gayi thi magar mera look waisa hi tha, maine kurti aur jeans daali thi, aur specs moti frame wale & pony tail.
Hum sabhi ko black coloured bag diya tha company ne with its logo. Saare boys wakai me best  employees the aur mai to mai hu. Mujhe literally mere gaon ki galiya dikh rahi thi. Mujhse koi bhi mere collegue baat to kar nahi rahe the to mai aage aage chal rahi thi and boys piche masti karte hue aur baate karte hue aa rahe the. Actually hum sab kahi jaa rahe the, fir Bhim aur baki do boys kahi aur jaane lage kehne lage “yaha ka kaam niptakar aate hai,” magar Aadarsh ne kaha “ yaar mujhe kantaal maar raha hai pls tum log solve kar k aa jao,” to baki sab agree hote hai. Mai sochti hu yahi kahi wait karna padega ye logo ka, magar mann me to itna gussa aa rha tha kyu ki aadarsh ruka hua kyu hai? Aaj bhi mai use bohot pyaar karti hu aur aaj bhi mai uska wait kar rahi hu, aur aaj tak usne shaadi nahi ki jiski wajah se maine bhi nahi ki kyu ki apne aap se promise jo kiya tha ki shaadi k baad hi mai shaadi karungi. But sab waisa ka waisa hi hai jaisa 7 yrs pehle tha, aaj bhi wahi avoidance uska. Kya kare, wo to apne cell me laga rehta hai mai to fir kahi stairs pe jakar baithti hu, dil to mera bohot jal raha hota hai. Waha humare gujrath lok sangeet aur nrutya ki practice ho rahi hoti hai to mai baith k wo dekhti, thodasa mind fresh hota hai. Aadarsh se to mera dhyaan hi hat jata hai. Fir thodi der baad aadarsh aata hai cahl chal k aur jor se bolta hai “ oh berozgaar!” Mai use dekhti hu to wo smile karta hai, fir kehta hai, “ ha tujhe hi bol raha hu, aise kya baithi hai, salary waigara nahi milti kya?”
I was totally shocked ki mai ye kya sun rahi hu Aadarsh mujhse baat kar raha hai!!! Mai thodisi embarrassed ho jati hu, aur khadi hoti hu to wo mere pas aata hai aur mujhe zor se hug kar k utha leta hai. Mai thodi der k liye mand ho jati hu ki ye kya hua? Ab bhi mai usi ki baho me hu aur jaise najaro me hi baate ho rahi ho maine kaha “ I still love you!” aur usne kaha “ I love you too.” Aisa laga jaise ye gana baj raha ho “ jo baat dil mein thi naino ne bol di……” fir wo mujhe niche rakhta hai and I was like…….. bas maine to use hug hi kar liya, barso purani muraad jo puri ho gayi thi.
Aadarsh ne bhi mujhe bohot laad kiya. Aur hum ek dusre ka haath pakad kar chalne lage. Pata tha ki Bhim aur baki jano ko time lagne wala hai to hum dono gaon ki seir par chal diye. Bohot enjoy kiya humne. Fir hum mandir jaate hai, darshan karne k baad wo kahi chala gaya kuch kaam se, shayad Bhim bulata hai phone kar k. Mai bahar aati hu to aadarsh mujhe milta hai aur tab tak Bhim bhi aa jata hai magar ek Punjabi kudi k avtar mein. Use dekhkar shock nahi hota kyu ki wo bohot hi sweet aur beautiful dikhta hai. Mujhe aur Aadarsh k baat karta dekh wo thoda shock ho jata hai. Fir Aadarsh mujhe bye kar k Bhim k sath jata hai aur kehta hai “ yahi rehna mai aata hu thodi der mein.” Mandir k pas hi mujhe meri k pehechan ki aunty milti hai to mai unse baat karne lagti hu. Thoda bohot timepass ho jata hai, wo sabji kharid rahi hoti hai, tab Aadarsh aata hai ek bawarji k avtar mein to mujhe bohot hasi aati hai but mai hasti nahi. Fir wo jata hai tab mai use ishaare mein kehti hu “ shoes tere!” to use yaad aata hai aur fir mandir k yaha aakar uske shoes daal kar jaane lagta hai ki Bhim aata hai fir mai zor se kehti hu “ Aadarsh you are looking hadsome!” to mujhe smile dekar wave kar k jata hai. Bhim ko badi jalan hoti haito kehta hai “ haaaaaaa……………. Handsome!” Chidte hue aur chidhate hue. To mai to uska popat hi kar deti hu aur bolti hu “ ae chal jana tujhe handsome nahi bola” to  rasgulle ki tarah muh fulakar chala jata hai aur tab bhi mai use apna bada bhai maanti hu yani Dada hi maanti hu.

But in reality, Bhim insulted Naina like anything, Aadarsh married to some other girl and Naina left the place where these memories were built.

Thursday 8 March 2012

Its really hard to fake!



Concept:
by Neelam Rajput
a girl is deeply in love wid her classmate , bt she is shy to confess it to him. Day by day her love for him goes stronger n stronger which gives her strength to confess her love to him . The boy doest not accept her love but in fact he tells her to control her feelings . The girl accepts his words an acts upon it , from out side she is happy bt form inside she is dieing day by day.
THE BELOW SONG IS EXACTLY WHAT THE GIRL IS FEELING NOW.....
To be continued...........



Ummm hmm umm hmm
Ummm hmm umm hmm

Tune jo na kaha
Mein woh sunta raha
Khamakha bewajah Khwaab Bunta raha


Tune jo na kaha
Mein woh sunta raha
Khamakha Bewajah Khwaab Bunta raha

Jaane kiski humein lag gayi hai nazar
Is Shehar mein Na apna tikana raha
Koi chaht se na ab apni chalta raha

Khamakha bewajah Khwaab Bunta raha
LyricSMasti.com
Dard phele se hai jyaaada
Khud se phir yeh vaada
Khamosh Nazrein Rahein Bezubaan


Abb Na pehli si baatein hai
Bolo to Lab thartharatein hai
Raaz yeh dil ka na ho baiyan
Hoga na ab asar humpe nahin
Hum safar mein to hai Humsafar hai nahi

Door jaata raha Paas aata raha
Khamakha bewajah Khwaab Bunta raha

Aaya woh phir Nazar aise
Baat chidne lagi phir se
Aankhon mein chubhta kal ka dhuan

Haal tera na humsa hai
Is khushi mein kyon gumsa hai
Basne laga kyon phir woh jahan
Lyricsmasti.com
Woh jahan dur jis se gaye the nikal
Phir se aankhon mein karti hai jaise pehal

Lambha beeta hua ,Dil Dukhata raha

Khamakha bewajah Khwaab Bunta raha

Tune jo na kaha
Mein woh sunta raha
Khamakha bewajah Khwaab Bunta raha


Jaane kiski humein lag gayi hai nazar
Is Shehar mein Na apna tikana raha
Koi chahat se abb apni chalta raha

Bhuj gai Aag thi Daag Jalta raha...

Thursday 1 March 2012

I am nothing without you

Dhadakta nahi dil tumhare bina,
Tum dhadkane jo le gaye.

Jeena bhul gaye tumhare bina,
Tum dil jo le gaye.

Khwab na aaye tumhare bina,
Tum neende jo le gaye.

Hasna bhul gaye tumhare bina,
Tum hotho ki nami jo le gaye.

Jeena bhul gaye tumhare bina,
Tum chain jo le gaye.

Sab kuch soona laage tumhare bina,
Tum zindagi jo le gaye.

Wednesday 22 February 2012

Tu hi hai Meri Zindagi

Kaandhe pe sar rakh k yuhi kat jaaye zindagi,

Saanso se tere yuhi mehek jaaye zindagi,

Bahon me tere yuhi sawar jaaye zindagi,

Aakhon me tere yuhi nazar aaye zindagi,

Mai to ek panchi hu,

Mai hu dariya,

Mai to barish ki boond hu,

Mai hu hawa ka jhokha,

Tu to hi ek aasman,

Tu hi to hai kinara,

Tu to ek badal hai,

Tu hi to hai Khooboo,

Lafzo se tere yuhi alfaz ban jaaye zindagi.

Wednesday 15 February 2012

Where are you?

I am a flower, the scent is you.


I am the nature, the calmness is you.


I am a song, the music is you.


I am the water, the flow is you.


I am an idol, the shape is you.


I am an mortal, the soul is you.


I am a girl, the beauty is you.


I want to hug you.


I want to kiss you.


When I need you the most,


Dear where are you?


Where are you?

Wednesday 8 February 2012

You are everything for me

Shukriya hai uss rab ka,
Jisne ye duniya banai.

Shukriya hai uss rab ka,
Jisne ye maa banai.

Shukriya hai uss maa ki mamta ka,
Jisne tumhe banaya.

Shukriya hai uss bhagwaan ka,
Jisne dosti banai.

Shukriya hai tumhara,
Jisne meri jindagi banai.

I may lose something today
I may get anything else tomorrow.
But,
I can never lose
and
ever get one thing
and thats 'YOU'
So, be my friend forever!

(ADOPTED)

Wednesday 1 February 2012

Mai hu

Hatheli saamne rakhna,
k sab aasu gir jaye usme,
Jo ruk jaaye aasu hatheli par,
samajh jana k wo mai hu.

Kabhi jo chand ko dekho tum,
yu muskura lena to fir,
Baadal bhi aa jaye to samajh
jana k mai hu.

Jo chal jaaye hawa thandi,
to aakhen band kar lena,
Jo jhokha tez ho hawa ka sabse,
 samajh jana k wo mai hu.

Jab jyaada yaad aau mai,
to ro lena jee bhar kar,
Agar hichki koi aaye,
to samajh jaana k mai hu.





Wednesday 25 January 2012

Mushkile!

Bohot mushkil hoti hai
jab gussa aaye aur
pyaar jatana pade!

Bohot mushkil hoti hai
jab rona aaye aur
muskurana pade!

Bohot mushkil hoti hai
jab kisi se dur rehna ho aur
usi k paas rehna pade!

Bohot mushkil hoti hai
jab kisi k karib rehna ho aur
usi se dur jana pade!

Bohot mushkil hoti hai
sahi insaan ka intazaar karna
jab galat insaan hi sahi lagne lage!