Wednesday 28 March 2012

Maafi :(

Khata hui mujhse jo maine tum par shaq kiya.


Anjana sa iljaam jo maine tum par jahir kiya.


Maaf karna mujhe jo maine tumhe gunahgaar kiya.


Sharminda hu mai jo maine tumhe ruswa kiya.


Dil roya mera jo maine tum par yakeen na kiya.


Ashko se bhara daaman mera jo maine tumse gila kiya.


Kho na jana mujhse jo maine tumse shikwa kiya.

No comments:

Post a Comment